wahshi the bu-e-gul ki tarah is jahan mein hum
nikle to phir ke aae na apne makan mein hum
sakin hain josh-e-ashk se aab-e-rawan mein hum
rahte hain misl-e-mardum-e-abi jahan mein hum
shaida-e-ru-e-gul na to shaida-e-qadd-e-sarw
sayyaad ke shikar hain is bostan mein hum
nikli labon se aah ki gardun nishana tha
goya ki tir joDe hue the kaman mein hum
aaluda-e-gunah hai apna riyaz bhi
shab kaTte hain jag ke mugh ki dukan mein hum
himmat pas-az-fana sabab-e-zikr-e-KHair hai
murdon ka nam sunte hain har dastan mein hum
saqi hai yar-e-mah-liqa hai sharab hai
ab baadshah-e-waqt hain apne makan mein hum
nairang-e-rozgar se aiman hain shakl-e-sarw
rakhte hain ek haal bahaar-o-KHizan mein hum
duniya o aaKHirat mein talabgar hain tere
hasil tujhe samajhte hain donon jahan mein hum
paida hua hai apne liye boriya-e-faqr
ye nistan hai sher hain is nistan mein hum
KHwahan koi nahin to kuchh is ka ojab nahin
jins-e-giran-baha hain falak ki dukan mein hum
likkha hai kis ke KHanjar-e-mizhgan ka us ne wasf
ek zaKHm dekhte hain qalam ki zaban mein hum
kya haal hai kisi ne na puchha hazar haif
nalan rahe jaras ki tarah karwan mein hum
aaya hai yar fatiha paDhne ko qabr par
bedar baKHt-e-KHufta hai KHwab-e-giran mein hum
shagird tarz-e-KHanda-zani mein hai gul tera
ustad-e-andalib hain soz-o-fughan mein hum
bagh-e-jahan ko yaad karenge adam mein kya
kunj-e-qafas se tang rahe aashiyan mein hum
allah-re be-qarari-e-dil hijr-e-yar mein
gahe zamin mein the to gahe aasman mein hum
darwaza band rakhte hain misl-e-hubab-e-bahr
qufl-e-durun-KHana hain apne makan mein hum
'atish' suKHan ki qadr zamane se uTh gai
maqdur ho to qufl laga den zaban mein hum
Ghazal
Wahshi the bu-e-gul ki tarah is jahan mein hum
Haidar Ali Aatish