wahshi ishq-e-junun kam bhi nahin karta hai
aur yun bhi hai ki ab ram bhi nahin karta hai
toD bhi leta hai wo rabt-e-inayat hum se
rishta-e-dard ko mohkam bhi nahin karta hai
us ka shikwa nahin kar sakte ki wo dil ke tain
KHush nahin karta to barham bhi nahin karta hai
mujhe diwar-e-ana se wo giraata bhi nahin
aur uncha mera parcham bhi nahin karta hai
tabr-o-tegh hamari bhi dhari hai kab se
chheD muddat hui aalam bhi nahin karta hai
Ghazal
Wahshi ishq-e-junun kam bhi nahin karta hai
Arshad Abdul Hamid

