اردو हिंदी
Wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna | Shaahi Shayari
wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna

Ghazal

Wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna

Khatir Ghaznavi

;

wahshaton ka kabhi shaidai nahin tha itna
jaise ab hun tera saudai nahin tha itna

bar-ha dil ne tera qurb bhi chaha tha magar
aaj ki tarah tamannai nahin tha itna

is se pahle bhi kai bar mile the lekin
shauq dildada-e-ruswai nahin tha itna

pas rah kar mujhe yun qurb ka ehsas na tha
dur rah kar gham-e-tanhai nahin tha itna

apne hi sayon mein kyun kho gain nazren 'KHatir'
tu kabhi apna tamashai nahin tha itna