wahshaten bhi kitni hain aagahi ke paikar mein
jal raha hai suraj bhi raushni ke paikar mein
raat meri aankhon mein kuchh ajib chehre the
aur kuchh sadaen thin KHamushi ke paikar mein
har taraf sarabon ke kuchh hasin manzar the
aur main bhi hairan tha tishnagi ke paikar mein
main ne to tasawwur mein aur aks dekha tha
fikr muKHtalif kyun hai shaeri ke paikar mein
rup rang milta hai KHadd-o-KHal milte hain
aadmi nahin milta aadmi ke paikar mein
kya bataen hum dil par 'shad' kya guzarti hai
gham chhupana paDta hai jab KHushi ke paikar mein
Ghazal
Wahshaten bhi kitni hain aagahi ke paikar mein
Khushbir Singh Shaad