اردو हिंदी
Wahshaten baDhti gain hijr ke aazar ke sath | Shaahi Shayari
wahshaten baDhti gain hijr ke aazar ke sath

Ghazal

Wahshaten baDhti gain hijr ke aazar ke sath

Ahmad Faraz

;

wahshaten baDhti gain hijr ke aazar ke sath
ab to hum baat bhi karte nahin gham-KHwar ke sath

hum ne ek umr basar ki hai gham-e-yar ke sath
'mir' do din na jiye hijr ke aazar ke sath

ab to hum ghar se nikalte hain to rakh dete hain
taq par izzat-e-sadat bhi dastar ke sath

is qadar KHauf hai ab shahr ki galiyon mein ki log
chap sunte hain to lag jate hain diwar ke sath

ek to KHwab liye phirte ho galiyon galiyon
us pe takrar bhi karte ho KHaridar ke sath

shahr ka shahr hi naseh ho to kya kijiyega
warna hum rind to bhiD jate hain do-chaar ke sath

hum ko us shahr mein tamir ka sauda hai jahan
log meamar ko chun dete hain diwar ke sath

jo sharaf hum ko mila kucha-e-jaanan se 'faraaz'
su-e-maqtal bhi gae hain usi pindar ke sath