wahshat nigar lamhe aahu qatar lamhe
main hun shikar un ka mera shikar lamhe
aankhen taras rahi hain aankhen baras rahi hain
taswir ho gae hain palkon pe chaar lamhe
bhaari agarche hai man har sans jaise uljhan
kaT jaenge yaqinan ye intizar lamhe
kya bair hai kisi se miliye gale sabhi se
behtar hain har KHushi se ye ashk-bar lamhe
apni to ek haT hai be-lag be-lipaT hai
sadiyon ki ek raT hai de de udhaar lamhe
Ghazal
Wahshat nigar lamhe aahu qatar lamhe
Saleem Muhiuddin