wahshat mein yaad aae hai zanjir dekh kar
hum bhagte the zulf-e-girah-gir dekh kar
jab tak na KHak ho jiye hasil nahin kamal
ye baat khul gai hamein iksir dekh kar
uzr-e-gunah dawar-e-mahshar se kyun karun
gham miT gaya hai nama-e-taqdir dekh kar
hun tishna-kaam-e-dasht-e-shahadat zi-bas ki main
girta hun aab-e-KHanjar-o-shamshir dekh kar
'arif' chhupa to hum se wale hum to pa gae
jo baat hai ye rang ki taghir dekh kar
Ghazal
Wahshat mein yaad aae hai zanjir dekh kar
Zain-ul-Abideen Khan Arif