wahshat mein har ek naqsha ulTa nazar aata hai
majnun nazar aati hai laila nazar aata hai
ai murgh-e-sahar kukDunkun bol kahin jaldi
tu bhi shab-e-furqat mein gunga nazar aata hai
daDhi ko teri waiz sab dekh ke kahte hain
wo qasr-e-taqaddus ka chhajja nazar aata hai
baz aae mohabbat se ai ishq KHuda-hafiz
ulfat mein jise dekho andha nazar aata hai
kuchh tujh ko KHabar bhi hai dekh aaine mein surat
o tirchhi nazar wale bhinga nazar aata hai
swaraj ke chakkar mein rahte the jo sargardan
un logon ko ab KHali charKHa nazar aata hai
Ghazal
Wahshat mein har ek naqsha ulTa nazar aata hai
Zareef Lakhnavi