wahshat hai mere dil ko to tadbir-e-wasl kar
panw mein us ghazal ke zanjir-e-wasl kar
zaKHmi shikar hun main tera mar hi jaunga
pahlu se mat juda tu mere tir-e-wasl kar
ek lahza teri baaton se aata hai dil ko chain
hamdam KHuda ke waste taqrir-e-wasl kar
dast-e-daraaz apne ko tauq-e-gulu mera
tu ek dam to ai KHam-e-shamshir-e-wasl kar
ai mah ye teri dur-kashi kab talak bhala
ek shab to tu irada-e-shab-gir-e-wasl kar
sina pe sina KHisht pe goya ki KHisht hai
ab ai falak nazara-e-tamir-e-wasl kar
tohmat lagegi pas biThane se faeda
nahaq na mujh ko murid-e-taqsir-e-wasl kar
mat chandni mein aa ki zamana ghayur hai
is kaam ko supurd-e-shab-e-qir-e-wasl kar
shayad ki paDh ke narm ho dil us ka 'mushafi'
ja kar hawale us ke ye tahrir-e-wasl kar
Ghazal
Wahshat hai mere dil ko to tadbir-e-wasl kar
Mushafi Ghulam Hamdani