wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada
chhoTa sa mera KHwab hai tabir ziyaada
kya jaan meri sirf sulagne ke liye hai
kije na mere jism ki tafsir ziyaada
kis moD pe diwan ke main ruk sa gaya hun
'ghaalib' se nazar aane laga 'mir' zyaada
karta hun isi waste tadbir bahut kam
har kaam mein kaam aati hai tabir ziyaada
kab tak ye mera zoam ye ehsas rahega
duniya mein bahut KHub hai kashmir ziyaada
Ghazal
Wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada
Hamdam Kashmiri

