اردو हिंदी
Wahshat-e-mubtala KHuda ke liye | Shaahi Shayari
wahshat-e-mubtala KHuda ke liye

Ghazal

Wahshat-e-mubtala KHuda ke liye

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

;

'wahshat'-e-mubtala KHuda ke liye
jaan deta hai kyun wafa ke liye

aashna sab hue hain begane
ek begana-ashna ke liye

hum ne aalam se bewafai ki
ek mashuq-e-bewafa ke liye

tha use zauq-e-ashiq-azari
KHub main ne maze jafa ke liye

ghaalib aai faramushi us ki
wada taDpa kiya wafa ke liye

ye bhi teri gada-nawazi thi
main ne bose jo naqsh-e-pa ke liye

zauq-e-nazzara ne kiya hai KHak
surma hun chashm-e-surma-sa ke liye

justuju nang-e-arzu nikli
dard ruswa hua dawa ke liye

baDh chali hai bahut haya teri
mujh ko ruswa na kar KHuda ke liye

hai KHamoshi mujhe zaban 'wahshat'
fikr kya arz-e-muddaa ke liye