wahshat-e-gham se raat bhar yaro
roya main phir hui sahar yaro
jaana chahen bhi to kidhar jaen
kho gae sare rahguzar yaro
zehn-o-dil se nikal kar us ko
kar diya KHud ko mo'atabar yaro
umr bhar gard-e-rah ki surat
main jo karta raha safar yaro
aai KHak-e-watan ki yaad magar
lauT kar phir gae na ghar yaro
hai tamanna nai faza ki magar
kaT gae apne baal-o-par yaro
chahe jitna KHayal rakkho mera
umr meri hai muKHtasar yaro
Ghazal
Wahshat-e-gham se raat bhar yaro
Khan Rizwan