wahshat-e-gham mein achanak tere aane ka KHayal
jaise nadar ko gum-gashta KHazane ka KHayal
is mohabbat mein hadaf koi bhi ban sakta hai
is mein rakkha nahin jata hai nishane ka KHayal
wo kabutar to usi din se mere jal mein hai
jab use pahle-pahal aaya tha dane ka KHayal
main kinaron ko kabhi dhyan mein lata hi nahin
lutf deta hai mujhe Dubte jaane ka KHayal
marne deta nahin main baadiya-gardi ka riwaj
main nae ishq mein lata hun purane ka KHayal
ai KHuda mere muqaddar mein wo sajda likh de
jis mein aae na mujhe sar ko uThane ka KHayal
Ghazal
Wahshat-e-gham mein achanak tere aane ka KHayal
Mahmood Taseer