wahshat-e-dil ne kiya hai wo bayaban paida
saikDon kos nahin surat-e-insan paida
sahar-e-wasl karegi shab-e-hijran paida
sulb-e-kafir hi se hota hai musalman paida
dil ke aaine mein kar jauhar-e-pinhan paida
dar-o-diwar se ho surat-e-jaanan paida
KHar daman se ulajhte hain bahaar aai hai
chaak karne ko kiya gul ne gareban paida
nisbat us dast-e-nigarin se nahin kuchh is ko
ye kalai to kare panja-e-marjaan paida
nashsha-e-mai mein khuli dushmani-e-dost mujhe
aab-e-angur ne ki aatish-e-pinhan paida
bagh sunsan na kar in ko pakaD kar sayyaad
baad muddat hue hain murgh-e-KHush-ilhan paida
ab qadam se hai mere KHana-e-zanjir aabaad
mujh ko wahshat ne kiya silsila-jumban paida
ro ke aankhon se nikalun mein buKHar-e-dil ko
kar chuke abr-e-mizha bhi kahin baran paida
nara-zan kunj-e-shahidan mein ho bulbul ki tarah
aab-e-ahan ne kiya hai ye gulistan paida
naqsh un ka na kisi lal se lab par baiTha
mere munh mein hue the kis liye dandan paida
KHauf na-fahmi-e-mardum se mujhe aata hai
gaw KHar hone lage surat-e-insan paida
ruh ki tarah se daKHil ho jo diwana hai
jism-e-KHaki samajh is ko jo ho zindan paida
be-hijabon ka magar shahr hai aqlim-e-adam
dekhta hun jise hota hai wo uryan paida
ek gul aisa nahin howe na KHizan jis ki bahaar
kaun se waqt hua tha ye gulistan paida
mojid us ki hai siyah-rozi hamari 'atish'
hum na hone to na hoti shab-e-hijran paida
Ghazal
Wahshat-e-dil ne kiya hai wo bayaban paida
Haidar Ali Aatish