wahshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakkha mujh ko
dekhna hai abhi kya kahti hai duniya mujh ko
asar-e-qaid-e-tayyun se bhi aazad hai dil
kis tarah band-e-alaeq ho gawara mujh ko
lene bhi de abhi mauj lab-e-sahil ke maze
kyun Duboti hai ubharne ki tamanna mujh ko
KHwahish-e-dil thi ki milta kahin sauda-e-junun
main ne kya manga tha qismat ne diya kya mujh ko
teri be-pardagi-e-husn ne aankhen kholin
tang-damani-e-nazzara thi parda mujh ko
aaKHiri daur mein madhosh hua tha lekin
laghzish-e-pa ne meri KHub sambhaala mujh ko
umr sari to kaTi dair-o-haram mein ai 'shauq'
is pe sajda bhi to karna nahin aaya mujh ko
Ghazal
Wahshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakkha mujhko
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

