اردو हिंदी
Wahshat-e-dil ka ajab rang nazar aata hai | Shaahi Shayari
wahshat-e-dil ka ajab rang nazar aata hai

Ghazal

Wahshat-e-dil ka ajab rang nazar aata hai

Aziz Hyderabadi

;

wahshat-e-dil ka ajab rang nazar aata hai
arsa-e-hashr mujhe tang nazar aata hai

donon jaanib hai barabar teri taswir ka ruKH
aaina meri tarah dang nazar aata hai

kuchh to sayyaad ne kuchh baad-e-saba ne luTa
aashiyane ka ajab rang nazar aata hai

sulh-jui ki tamanna mein shab-o-roz 'aziz'
yak jahan muztarib-e-jang nazar aata hai