wahshat-e-asar-o-sukun soz nazaron ke siwa
aur sab kuchh hai gulistan mein bahaaron ke siwa
ab na be-bak-nigahi hai na gustaKH-labi
chand sahme hue mubham se ishaaron ke siwa
saqiya koi nahin mujrim-e-mai-KHana yahan
tere kam-zarf-o-nazar baada-gusaron ke siwa
hasraten un mein abhi dafn hain insanon ki
nam kya dijiye sinon ko mazaron ke siwa
dur tak koi nahin hai shajar-e-saya-dar
chand sukhe hue peDon ki qataron ke siwa
aap kahte hain ki gulshan mein hai arzani-e-gul
apne daman mein to kuchh bhi nahin KHaron ke siwa
manzil-e-shauq mein ek ek ko diya izn-e-safar
koi bhi to na mila jada-shumaron ke siwa
zor-e-tufan to ba-har-haal hai zor-e-tufan
kis se Takraegi mauj apni kinaron ke siwa
kaun is daur ke insan ka muqaddar banta
chand aawara-o-manhus sitaron ke siwa
kitne qadmon ki KHarashon se lahu rista hai
kis ko malum hai ye rah-guzaron ke siwa
baat karte hain wo ab aisi zaban mein 'ejaz'
koi samjhe na jise nama-nigaron ke siwa
Ghazal
Wahshat-e-asar-o-sukun soz nazaron ke siwa
Ejaz Siddiqi