اردو हिंदी
Wahm-o-guman mein bhi kahan ye inqilab tha | Shaahi Shayari
wahm-o-guman mein bhi kahan ye inqilab tha

Ghazal

Wahm-o-guman mein bhi kahan ye inqilab tha

Hayat Lakhnavi

;

wahm-o-guman mein bhi kahan ye inqilab tha
jo kuchh bhi aaj tak nazar aaya wo KHwab tha

pa-e-murad pa ke wo behaal ho gaya
manzil bahut hasin thi rasta KHarab tha

chehre ko tere dekh ke KHamosh ho gaya
aisa nahin sawal tera la-jawab tha

us ke paron mein quwwat parwaz thi magar
un mausamon ka apna bhi koi hisab tha

aankhon mein zindagi ki tarah aa basa hai wo
meri nazar mein pahle jo manzar KHarab tha

jaise hawa ka jhonka tha aa kar guzar gaya
wo shaKHs is ke baad kahan dastiyab tha

sara kalam us se muanwan hua 'hayat'
jis ka wajud KHud bhi mukammal kitab tha