wahin the shaKH-e-gul par gul jahan jama
kiye bulbul ne KHar-e-ashiyan jama
laga deta hai un ko chun ke aatish
huma kar ke hamare ustuKHan jama
chaman mein kis ke aane ki KHabar hai
kare hai phul chun chun baghban jama
hai sohbat ka pareshanon ke ye rang
hawa se howen jo barg-e-KHizan jama
safar ki mujh se kya kahte ho jao
karun kya gar hua hai karwan jama
abhi mu-e-pareshan se kisi ke
meri KHatir nahin ai dostan jama
falak ne sang phenka tafraqe ka
hue do-chaar sahib-dil jahan jama
na KHarch-e-'mushafi' ki puchho us se
tawakkul ka hai mal-e-be-karan jama
Ghazal
Wahin the shaKH-e-gul par gul jahan jama
Mushafi Ghulam Hamdani