wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka
ajab ki banda na dawa kare KHudai ka
mile jo rutba tere dar ki jabah-sai ka
to ek silsila ho shahi-o-gadai ka
nahin hai faiz mein KHissat wa-lek paida hai
tafawut aaina-o-sang mein safai ka
yahan jo ishq hai betab-e-jalwa-e-didar
wahan bhi husn muharrik hai KHud-numai ka
buton ke samne but-gar ghise jabin-e-niyaz
main shefta hun teri shan-e-kibriyai ka
na kar kisi ki burai na ban bhale se bura
bhala bhala hai bura kaam hai burai ka
banaen bigDi hui ko to ek baat bhi hai
bigaDna nahin mushkil bani-banai ka
uTha hijab to bas din-o-dil diye hi bani
janab-e-shaiKH ko dawa tha parsai ka
tumhaare dil se kudurat miTae to jaanen
khula hai shahr mein ek mahkama safai ka
hawas hai gar sar-o-saman ke jama karne ki
talash kar sar-o-saman be-nawai ka
siwae ishq nahin koi rahbar-e-chaalak
wahan KHirad ko nahin hausla rasai ka
usi ka wasf hai maqsud sher-KHwani se
usi ka zikr hai mansha ghazal-sarai ka
nahin hai ab ke zamane ki ye rawish zinhaar
main yaadgar hun 'KHaqani'-o-'sanai' ka
Ghazal
Wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka
Ismail Merathi