wahin par mera sim-tan bhi to hai
usi raste mein watan bhi to hai
bujhi ruh ki pyas lekin saKHi
mere sath mera badan bhi to hai
nahin sham-e-tira se mayus main
bayaban ke pichhe chaman bhi to hai
mashaqqat bhare din ke aaKHir par
sitaron bhari anjuman bhi to hai
mahakti dahakti lahakti hui
ye tanhai bagh-e-adan bhi to hai

Ghazal
Wahin par mera sim-tan bhi to hai
Sarvat Husain