wahin ji uThte hain murde ye kya Thokar se chhuna hai
wo raftar aur wo qamat qayamat ka namuna hai
ghuTa aata hai dam ye ishq ne aatish hai sulgai
dil-e-sozan se ya qismat dhuan aankhon ka duna hai
are o KHana-abaad itni KHun-rezi ye qattali
ki ek aashiq nahin kucha tera viran suna hai
kabab-e-dil agarche soKHta hai chakh to ai kaifi
ye angaron par aah-e-atishin ne KHub bhuna hai
mubassir jauhar-e-KHat par kahin hain us ke abru ko
suruhi koi hai be-kal ki jis ka ab ye kuna hai
tilism ek husn KHalq-allah ke aalam ka dil pe hai
phiro iran-o-turkistan faringistan-o-yuna hai
hamare aah-e-tir-e-be-kaman ne KHana-e-dil se
ye ruKH phera ki ta-baam-e-falak bandha sutuna hai
jahan ahl-e-wara majlis mein hon wo baKHsh lene ko
nishan naqsh-e-dani ka sath ek laDka jamuna hai
agar taswir-e-rang-e-zard-e-ashiq KHub-ru dekhen
koi batlaega suna ghar ka koi kuna hai
diya main pan use ek reKHta paDh kar laga kahne
ye inTi khui ka kattha hai aur kankar ka chuna hai
tujhe deta hai bazi ai 'muhib' bach jaiyo us se
ki naT-khaT us ke yar aur wo daghabaz ek ghuna hai
Ghazal
Wahin ji uThte hain murde ye kya Thokar se chhuna hai
Waliullah Muhib