wahi zid un ko hai wahi hai haT
un ki chahi nahin hai ye jhanjhaT
panw ki mere jo suni aahaT
hue daKHil makan mein jhaT-paT
shoKH kitna kiya hai pir-e-mughan
mughbache ho gae baD munh-phaT
koi pahlu nazar nahin aata
dekhiye baiThe unT kis karwaT
yaad karte nahin kabhi wo hamein
nam ki un ke han lagi hai raT
zeb-e-mahfil hai mah-ruKH mera
har taraf hai sitaron ka jhurmuT
jalwa-gah mein ajab karishma hai
yaad karte hi aa gae jhaT-paT
jalwa-farma wo gul hai gulshan mein
har rawish par lage hue hain ThaT
in ko parde mein bhi hijab raha
hai numayan naqab mein ghunghaT
nala-e-dil charagh-e-raushan hai
koh-e-atish-fashan ki hai ye lipaT
baada-e-nab qismat-e-aghyar
'saqi'-e-zar ko mile talchhaT
Ghazal
Wahi zid un ko hai wahi hai haT
Pandit Jawahar Nath Saqi

