wahi sar hai wahi sauda wahi wahshat hai miyan
ab bhi aa jao ki dil ki wahi KHalwat hai miyan
wusat-e-did simaTne hi nahin pati hai
chashm-e-ahu se hamein aaj bhi nisbat hai miyan
umr jab hijr-e-musalsal ki masafat mein kaTi
ye bhi kaT jaegi ek din shab-e-furqat hai miyan
ku-e-dildar mein baqi nahin shorida-saran
shahr daryuza-gar-e-kucha-e-shohrat hai miyan
kyun na hum mauja-e-hairat se lipaT kar sowen
wasl ab tere liye bhi to mashaqqat hai miyan
tum ne kya dekhe nahin shams-o-qamar nezon par
jashn-e-zulmat pe ab kaun si hairat hai miyan
farq-e-taban hai tera matla-e-KHurshid magar
tere kakul mein chhupi sham-e-qayamat hai miyan
dasht-e-hasti mein bahut aabla-pai hai 'nadim'
sarhad-e-marg-e-musalsal to aziyyat hai miyan
Ghazal
Wahi sar hai wahi sauda wahi wahshat hai miyan
Kamran Nadeem