wahi raaten aaen wahi zariyan
wahi phir sahar tak ki bedariyan
pari hur insan kisi mein nahin
jo dekhi hain tujh mein ada-dariyan
main kafir hun par dekh sakta nahin
kamar se teri rabt-e-zunnariyan
na the dagh sine ke itne ghane
ye hain dast-e-qudrat ki gul-kariyan
hum ek roz ji se guzar jaenge
rahen yun hi gar nit ki be-zariyan
bahaaren kahan abr-e-gulnar ki
kahan meri mizhgan ki KHun-bariyan
na sajdon se hasil hua wasl-e-yar
main kabe mein bhi Takkaren mariyan
mawaqis jis dam to sabit huin
siwa ishq ke kitni bimariyan
tu kaisi bala mein phansa 'mushafi'
huin kya diwane wo hoshyariyan
Ghazal
Wahi raaten aaen wahi zariyan
Mushafi Ghulam Hamdani