wahi pyas hai wahi dasht hai wahi gharana hai
mashkize se tir ka rishta bahut purana hai
subh sawere ran paDna hai aur ghamsan ka ran
raaton raat chala jae jis jis ko jaana hai
ek charagh aur ek kitab aur ek umid-e-asasa
us ke baad to jo kuchh hai wo sab afsana hai
dariya par qabza tha jis ka us ki pyas azab
jis ki Dhaalen chamak rahi thin wahi nishana hai
kasa-e-sham mein suraj ka sar aur aawaz-e-azan
aur aawaz-e-azan kahti hai farz nibhana hai
sab kahte hain aur koi din ye hangama-e-dahr
dil kahta hai ek musafir aur bhi aana hai
ek jazira us ke aage pichhe sat samundar
sat samundar par suna hai ek KHazana hai
Ghazal
Wahi pyas hai wahi dasht hai wahi gharana hai
Iftikhar Arif