اردو हिंदी
Wahi mohtasib ki malamaten wahi ek wazeh hasin meri | Shaahi Shayari
wahi mohtasib ki malamaten wahi ek wazeh hasin meri

Ghazal

Wahi mohtasib ki malamaten wahi ek wazeh hasin meri

Noor Bijnauri

;

wahi mohtasib ki malamaten wahi ek wazeh hasin meri
wahi rang rang subu mera wahi dagh dagh jabin meri

tera shahr shahr-e-ajib hai yahan kaun hai jo gharib hai
koi kah raha hai falak mera koi kah raha hai zamin meri

meri hasraton ke dayar mein teri justuju se bahaar hai
tera naqsh-e-pa hai jahan kahin hai jabin-e-shauq wahin meri

isi aaine mein kiran kiran kisi hur-wash ki tajalliyan
yahi dil hai jam-e-jahan-numa yahi dil hai KHuld-e-barin meri

kai aaftab kai qamar mere soz-e-dil se hain nur-gar
ki misal-e-shama sulag rahi hai azal se jaan-e-hazin meri

mere aansuon ne kaha na tha ki bichhaD ke phir na milenge hum
tujhe yaad ho ki na yaad ho wo nigah-e-baz-pasin meri