wahi manazir wahi musafir wahi sada ka jada tha
jab uftad paDi thi mujh se main hi dur uftada tha
ek ummid-o-bim ke aalam mein basti dam sadhe thi
aur hawa ke tewar the pani ka aur irada tha
suraj bhi pahne the main ne aur tare bhi oDhe the
din mein aur mera pairahan shab mein aur labaada tha
us ne mujh ko dariya kar Dala ye us ki azmat hai
main to qatre ki surat bhi rahne par aamada tha
gaThDi sar se kya utri main apni chaal hi bhul gaya
tan kar chalta tha main jab tak sar par bojh ziyaada tha
par ek roz mera beTa meri masnad par aa baiTha
jab tak meri man zinda thi main ghar mein shahzada tha
ab 'saifi' ki baaton mein wo pahle jaisi baat kahan
shahr mein aane se pahle ye shaKHs nihayat sada tha
Ghazal
Wahi manazir wahi musafir wahi sada ka jada tha
muneer saifi

