اردو हिंदी
Wahi main hun wahi Khaali makan hai | Shaahi Shayari
wahi main hun wahi Khaali makan hai

Ghazal

Wahi main hun wahi Khaali makan hai

Farooq Nazki

;

wahi main hun wahi KHali makan hai
mere kamre mein pura aasman hai

dayar-e-KHwab o chashm-e-dil-figaran
jazira nind ka kyun darmiyan hai

sukut-e-marg tari har shajar par
ye kaisa mausam-e-tegh-o-sinan hai

chaman afsurda gul murjha gae hain
KHizan ki zad pe sara gulsitan hai

bhula di aap ne bhi wo kahani
mohabbat jis ke dam se jawedan hai