wahi log phir aane jaane lage
mere pas kyun aap aane lage
koi aise se kya shikayat kare
bigaD kar jo baaten banane lage
ye kya jazb-e-dil khinch laya unhen
mere KHat mujhe phir ke aane lage
abhi to kaha hi nahin main ne kuchh
abhi tum jo aankhen churane lage
hamare hi aage gale ghair ke
hamari hi tarzen uDane lage
na ban aaya jab un ko koi jawab
to munh pher kar muskurane lage
Ghazal
Wahi log phir aane jaane lage
Nizam Rampuri