اردو हिंदी
Wahi junun ki soKHta-jaani wahi fusun afsanon ka | Shaahi Shayari
wahi junun ki soKHta-jaani wahi fusun afsanon ka

Ghazal

Wahi junun ki soKHta-jaani wahi fusun afsanon ka

Ain Tabish

;

wahi junun ki soKHta-jaani wahi fusun afsanon ka
uDa uDa sa bujha bujha sa rang wahi diwanon ka

dariya to manus hai ashk-lahu ki KHud-sar maujon se
dasht tujhe malum hai sara qissa in hairanon ka

chahat-bhar ummid rakhi hai aur raston-bhar pa-mardi
durweshon ke chaal-chalan mein rang hai sab sultanon ka

abhi nahin to aainda hum KHak uDane aaenge
kaun sa kaam ruka jata hai faqiron be-samanon ka

tu jo is duniya ki KHatir apna-ap ganwata hai
ai dil-e-man ai mere musafir kaam hai ye na-danon ka