اردو हिंदी
Wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari | Shaahi Shayari
wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari

Ghazal

Wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari

Jurm Mohammadabadi

;

wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari
na badal saka zamana meri KHu-e-waza-dari

wahi mai-kada hai lekin nahin ab wo kaif-bari
gae hum mazaq le ke mera lutf-e-baada-KHwari

ho zaban jis ke munh mein wo na aae anjuman mein
kahin rakh na de sitam-gar yahi shart-e-raaz-dari

kabhi hanste hanste rona kabhi rote rote hansna
koi kya samajh sakega bhala maslahat hamari

main zamane bhar ke tane na KHamosh ho ke sunta
jo junun-e-ishq hota mera feal-e-iKHtiyari

mai-e-ashiqi se tauba hai junun-e-parsai
kahin le na Dube waiz tujhe zoam-e-hoshiyari

na pahunch saka jahan tak kabhi pa-e-kibr-o-danish
wahin 'jurm' le gai hai mujhe meri KHaksari