wahi jhuki hui belen wahi daricha tha
magar wo phul sa chehra nazar na aata tha
main lauT aaya hun KHamoshiyon ke sahra se
wahan bhi teri sada ka ghubar phaila tha
shab-e-safar thi qaba tirgi ki pahne hue
kahin kahin pe koi raushni ka dhabba tha
ye aaDi-tirchhi lakiren bana gaya hai kaun
main kya kahun mere dil ka waraq to sada tha
main KHak-dan se nikal kar bhi kya hua aazad
har ek taraf se mujhe aasman ne ghera tha
idhar se bar-ha guzra magar KHabar na hui
ki zer-e-sang KHunuk paniyon ka chashma tha
wo us ka aks-e-badan tha ki chandni ka kanwal
wo nili jhil thi ya aasman ka TukDa tha
main sahilon mein utar kar 'shakeb' kya leta
azal se nam mera paniyon pe likkha tha
Ghazal
Wahi jhuki hui belen wahi daricha tha
Shakeb Jalali

