wahi ek pukar wahi fughan meri mohr-e-dida-o-lab mein hai 
hai karah jo shab-o-roz ki jo faza ke shor-o-shaghab mein hai 
kabhi din Dhale pe ho samna kabhi did aaKHir-e-shab mein hai 
hai yahi maal-e-talab mera tu meri ibaadat-e-rab mein hai 
kabhi faslon ki masafaton pe ubur ho to ye kah sakun 
mera jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahan sab mein hai 
sahar-e-azal ko jo di gai wahi aaj tak hai musafiri 
use tai karen to pata chale kahan kaun kis ki talab mein hai 
koi aur tarz-e-hayat bhi mujhe ab rahin-e-karam bata 
ki hai baat meri giraftani meri chup bhi su-e-adab mein hai
        Ghazal
Wahi ek pukar wahi fughan meri mohr-e-dida-o-lab mein hai
Mukhtar Siddiqui

