اردو हिंदी
Wahi husn-e-yar mein hai wahi lala-zar mein hai | Shaahi Shayari
wahi husn-e-yar mein hai wahi lala-zar mein hai

Ghazal

Wahi husn-e-yar mein hai wahi lala-zar mein hai

Ali Sardar Jafri

;

wahi husn-e-yar mein hai wahi lala-zar mein hai
wo jo kaifiyat nashe ki mai-e-KHush-gawar mein hai

ye chaman ki aarzu hai koi luT le chaman ko
ye tamam rang-o-nikhat tere iKHtiyar mein hai

tere hath ki bulandi mein farogh-e-kahkashan hai
ye hujum-e-mah-o-anjum tere intizar mein hai

bas usi ko toDna hai ye junun-e-nafa-KHori
yahi ek sard KHanjar dil-e-rozgar mein hai

abhi zindagi hasin hai abhi zikr-e-maut kaisa
abhi phul khil rahe hain abhi to kanar mein hai

abhi mai-kada jawan hai abhi mauj mein hai saqi
abhi jam raqs mein hai abhi mai bahaar mein hai

yahi mera sher-o-naghma yahi meri fikr-o-hikmat
jo suru-o-dard-mandi dil-e-be-qarar mein hai