wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai
mohabbat karne wala har tarah majbur hota hai
jahan jate hain hum us ki gali se ho ke jate hain
agarche rasta is raste se dur hota hai
nahin rukte ghaDi-bhar talib-e-didar ke aansu
ye zalim shauq goya aankh ka nasur hota hai
koi majnun ki izzat ishq ki sarkar mein dekhe
baDi KHidmat pe aisa aadmi mamur hota hai
hasinon ka tanazzul bhi nahin hai shan se KHali
buDhape mein bhi un logon ke munh pe nur hota hai
wo aisi KHanda-peshani se har maruza sunte hain
ye samjhe arz karne wala ab manzur hota hai
tujhe mashhur hona ho to aashiq ki burai kar
burai se bahut jald aadmi mashhur hota hai
hamare ghar wo aa kar thak gae han kyun na thak jate
naya rasta jo ho nazdik bhi to dur hota hai
jo tum wabasta-e-daman ko samjhe dagh-e-bad-nami
to ab kya dur kar sakte ho ab ye dur hota hai
baDa ehsan hoga mere dil ka KHun kar Dalo
yahi majbur karta hai yahi majbur hota hai
mujhe tum jaante ho aql se mazur han be-shak
mohabbat karne wala aql se mazur hota hai
hasin har ek ho sakta nahin be-shak safi' be-shak
wahi hota hai jo allah ko manzur hota hai

Ghazal
Wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai
Safi Aurangabadi