wahi hamesha ka aalam hai kya kiya jae
jahan se dekhiye kuchh kam hai kya kiya jae
guzarte waqt ne dhundla diye sabhi chehre
KHushi KHushi hai na gham gham hai kya kiya jae
bhaTak raha hun liye tishnagi samundar ki
magar nasib mein shabnam hai kya kiya jae
mili hai zaKHmon ki saughat jis ki mahfil se
usi ke hath mein marham hai kya kiya jae
wo ek shaKHs jo kal tak tha dusron se KHafa
ab apne aap se barham hai kya kiya jae
Ghazal
Wahi hamesha ka aalam hai kya kiya jae
Nida Fazli