اردو हिंदी
Wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi | Shaahi Shayari
wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi

Ghazal

Wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi

Ajay Sahaab

;

wahi hain qatl-o-ghaarat aur wahi kohram hai saqi
tamaddun aur mazhab ki ye KHuni sham hai saqi

kalam-e-fan mera ab tak nihan hai aise duniya se
ki jyun abdulhai mein ek alif gumnam hai saqi

meri gang-o-jaman tahzib ki duKHtar hai ye urdu
ise muslim banane ki ye sazish aam hai saqi

karenge amn ki baaten dilon mein bughz rakkhenge
yahi rasm-e-jahan aur fitrat-e-aqwam hai saqi

qad-a-shair ke badle dekhiye meayar sheron ka
faqat itna meri ghazlon ka ye paigham hai saqi

aruz-o-ilm ki talim mujh ko kab rahi hasil
mera ustad to bas ye gham-e-ayyam hai saqi

wahi ghaalib hai ab to jo KHaride shohraten apni
rubai bechne wala umar-'KHayyam' hai saqi

ye ghazlen ghaib se nazil nahin ashkon ka hasil hain
mera ye dard hi sab se baDa ilham hai saqi