wahi hai wahshat wahi hai nafrat aaKHir is ka kya hai sabab
insan insan bahut raTa hai insan insan banega kab
wed upnishad purze purze gita quran waraq waraq
ram-o-kirishn-o-gautam-o-yazdan zaKHm-rasida sab ke sab
ab tak aisa mila na koi dil ki pyas bujhata jo
yun mai-KHana-chashm bahut hain bahut hain yun to saqi-lab
jis ki tegh hai duniya us ki jis ki laThi us ki bhains
sab qatil hain sab maqtul hain sab mazlum hain zalim sab
KHanjar KHanjar qatil abru dilbar hath masiha honT
lahu lahu hai sham-e-tamanna aansu aansu subh-e-tarab
dekhen din phirte hain kab tak dekhen phir kab milte hain
dil se dil aankhon se aankhen hath se hath aur lab se lab
zaKHmi sarhad zaKHmi qaumen zaKHmi insan zaKHmi mulk
harf-e-haq ki salib uThae koi masih to aae ab
Ghazal
Wahi hai wahshat wahi hai nafrat aaKHir is ka kya hai sabab
Ali Sardar Jafri

