اردو हिंदी
Wahi hai gardish-e-dauran wahi lail-o-nahaar ab bhi | Shaahi Shayari
wahi hai gardish-e-dauran wahi lail-o-nahaar ab bhi

Ghazal

Wahi hai gardish-e-dauran wahi lail-o-nahaar ab bhi

Akhlaque Bandvi

;

wahi hai gardish-e-dauran wahi lail-o-nahaar ab bhi
raha karta hai roz-o-shab kisi ka intizar ab bhi

kabhi din bhar teri baaten kabhi yaadon bhari raaten
teri furqat mein jine ke bahane hain hazar ab bhi

tera jalwa jo pa jati chaman mein ja ke iThlati
bhikaran ban ke baiThi hai tere dar par bahaar ab bhi

KHushi har-chand hai tari gai gham ki giran-bari
chhalak jati hain aankhen aadatan be-iKHtiyar ab bhi

hue hain muntashir warna sitamgar tum se kya Darna
hamari Thokaron mein hai tumhaara eqtidar ab bhi

agar 'aKHlaq' se milte mohabbat ke chaman khilte
na banti bazm-e-yaran ek gah-e-kar-zar ab bhi