wahi hai dasht-e-safar rahguzar se aage bhi
wahi KHala hai hudud-e-nazar se aage bhi
wo aaftab usi sahn mein muallaq hai
agarche ghar hain bahut us ke ghar se aage bhi
hamare dam se hai qaem zamin ki zarKHezi
hamara faiz hai shaKH-e-shajar se aage bhi
talash-e-nur mein hum barha nikal aae
nazar ke sath hudud-e-safar se aage bhi
ghalat umid na bandho nahif logon se
koi uDa hai bhala baal-o-par se aage bhi
yahan se lauT chalo jaan ki aman chaho
kai tilism hain diwar-o-dar se aage bhi

Ghazal
Wahi hai dasht-e-safar rahguzar se aage bhi
Sattar Syed