اردو हिंदी
Wahi hadson ke qisse wahi maut ki kahani | Shaahi Shayari
wahi hadson ke qisse wahi maut ki kahani

Ghazal

Wahi hadson ke qisse wahi maut ki kahani

Vafa Barahi

;

wahi hadson ke qisse wahi maut ki kahani
abhi dastaras se bahar hai shuur-e-zindagani

jo miTa ke apni hasti bana gham-gusar-e-sahra
use ras kaise aati tere dar ki pasbani

wahi shaKHs la-ubaali hua munkir-e-haqiqat
jise chilmanon ki sazish se mili thi bad-gumani

na ghubar-e-karwan hai na nishan-e-rah-e-manzil
koi aks-e-mawara ki kare kaise tarjumani

jo faza-e-bahr-o-bar ko kare aur bhi munawwar
karo ai 'wafa' musaKHKHar wo shua-e-asmani