wahi guman hai jo us mehrban se pahle tha
wahin se phir ye safar hai jahan se pahle tha
hai is nigah ka karishma ki mere dil ka hunar
main us ke gham ka shanasa bayan se pahle tha
wo ek lamha mujhe kyun sata raha hai ki jo
nahin ke baad magar us ki han se pahle tha
main KHush hun ham-safaron ne ki mujh se chhin liya
ghurur-e-rahrawi jo karwan se pahle tha
wahi in aankhon ne dekha jo dekhna tha inhen
main KHush-guman karam-e-dostan se pahle tha
fughan ki toD saka main na be-kasi ka tilism
mera nasib meri dastan se pahle tha
Ghazal
Wahi guman hai jo us mehrban se pahle tha
Akbar Ali Khan Arshi Zadah