wahi dasht-e-bala hai aur main hun
zamane ki hawa hai aur main hun
tujhe ai ham-safar kaise sambhaalun
pahaDi rasta hai aur main hun
sukut-e-koh hai aur saya-e-dar
sada-e-ma-siwa hai aur main hun
magar shaKHon se patte gir rahe hain
wahi aab-o-hawa hai aur main hun
ye sari barf girne do mujhi par
tapish sab se siwa hai aur main hun
kai din se nasheman KHak-e-dil ka
sar-e-shaKH-e-hawa hai aur main hun
pahaDon par kahin barish hui hai
zamin mahw-e-dua hai aur main hun
mujhe bhi kuchh na kuchh karna paDega
zamana sar-phira hai aur main hun
Ghazal
Wahi dasht-e-bala hai aur main hun
Mazhar Imam