wahi daricha-e-jaan hai wahi gali yaro
magar nigah irada badal chuki yaro
kitab-e-haal ka koi waraq nahin palTa
kitab-e-ahd-e-guzishta bhi kab paDhi yaro
hum apne zehn ki almariyon mein DhunDenge
wo ek sal wo ek mah wo ghaDi yaro
is ek moD pe tanha hamin akele hain
ki pichhle moD pe duniya bhi sath thi yaro
KHuda ka shukr ki sab KHairiyat se hai yani
mere wajud mein halchal hai aaj bhi yaro
ye aur baat ki un ko yaqin nahin aaya
pa koi baat to barson mein hum ne ki yaro
Ghazal
Wahi daricha-e-jaan hai wahi gali yaro
Mughal Farooq Parwaz