wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein
be-ghamon ki bhiD mein aadmi tere ganw mein mere shahr mein
yahan har qadam pe sawal hai wahan har qadam pe malal hai
baDi uljhanon mein hai zindagi tere ganw mein mere shahr mein
kise dost apna banaen hum kise dil ka haal sunaen hum
sabhi ghair hain sabhi ajnabi tere ganw mein mere shahr mein
hain sabhi ki apni zaruraten koi kaise banTe mohabbaten
na KHulus hai na hai dosti tere ganw mein mere shahr mein
na wo husn hai na hijab hai na wo ishq mein tab-o-tab hai
na wo aabru-e-wafa rahi tere ganw mein mere shahr mein
main ilaj-e-gham bhi na kar saka tera jam to bhi na bhar saka
hai har ek moD pe tishnagi tere ganw mein mere shahr mein
ye hasad jahan ki nazar mein hai gham-e-'dana' un ke jigar mein hai
hai sabhi ko pyar se dushmani tere ganw mein mere shahr mein
Ghazal
Wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein
Abbas Dana