wahi dard-e-musalsal wahi sarf-e-dua main
basar hoti hui shab basar hota hua main
akela apna mahram ki apna dusra main
nazar mein aaina main samaat mein sadaen
miyan-e-mahsharisatan ajab be-wasta main
nahin us ki KHabar main nahin apna pata main
main aasan bhi kaThin bhi magar tum kaun mere
main aap apna tazabzub KHud apna faisla main
sukun-e-na-ashna log ye aapas mein juda log
bahut kuchh dekhta hun sar-e-rahe khaDa main
main kya hun kis jagah hun kaho wabastagan kuchh
na miTTi ki mahak main na parbat ki hawa main
tumhein jab lauTna ho KHushi se lauT aana
wafa qaem milunga yahi main tai-shuda main
Ghazal
Wahi dard-e-musalsal wahi sarf-e-dua main
Rajinder Manchanda Bani

