wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai
teri aankhon ki bimari jo aage thi so ab bhi hai
wahi nashw-o-numa-e-sabza hai gor-e-ghariban par
hawa-e-charKH-e-zangari jo aage thi so ab bhi hai
talluq hai wahi ta-haal un zulfon ke saude se
salasil ki giraftari jo aage thi so ab bhi hai
wahi sar ka paTakna hai wahi rona hai din bhar ka
wahi raaton ki bedari jo aage thi so ab bhi hai
riwaj-e-ishq ke aain wahi hain kishwar-e-dil mein
rah-o-rasm-e-wafa jari jo aage thi so ab bhi hai
wahi ji ka jalana hai pakana hai wahi dil ka
wo us ki garm-bazari jo aage thi so ab bhi hai
niyaz-e-KHadimana hai wahi fazl-e-ilahi se
buton ki naz-bardari jo aage thi so ab bhi hai
firaq-e-yar mein jis tarah se marta tha marta hun
wo ruh o tan ki be-zari jo aage thi so ab bhi hai
wahi sauda-e-kakul ka hai aalam jo ki sabiq tha
ye shab bimar par bhaari jo aage thi so ab bhi hai
junun ki garm-joshi hai wahi diwanon se apni
wahi daghon ki gul-kari jo aage thi so ab bhi hai
wahi bazar-e-garmi hai mohabbat ki hanuz 'atish'
wo yusuf ki KHaridari jo aage thi so ab bhi hai
Ghazal
Wahi chitwan ki KHun-KHwari jo aage thi so ab bhi hai
Haidar Ali Aatish