اردو हिंदी
Wahi be-baki-e-ushshaq hai darkar ab bhi | Shaahi Shayari
wahi be-baki-e-ushshaq hai darkar ab bhi

Ghazal

Wahi be-baki-e-ushshaq hai darkar ab bhi

Ajmal Siraj

;

wahi be-baki-e-ushshaq hai darkar ab bhi
hai wahi silsila-e-atash-o-gulzar ab bhi

ab bhi maujud hai wo baiat-e-fasiq ka sawal
aur matlub hai wo jurat-e-inkar ab bhi

hain kahan ishq mein ghar-bar luTane wale
KHu-e-isar se maghlub hain ansar ab bhi

koi yusuf to zamana kare paida 'ajmal'
nazar aa sakti hai wo garmi-e-bazar ab bhi