اردو हिंदी
Wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain | Shaahi Shayari
wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain

Ghazal

Wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain

Tariq Butt

;

wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain
wahi adh-bujhi meri nind hai wahi adh-jale mere KHwab hain

mere samne ye jo KHwahishon ki hai dhund had-e-nigah tak
pare is ke jaane haqiqaten ki haqiqaton ke sarab hain

meri dastaras mein kabhi to hon jo hain ghaDiyan kaif-o-nashat ki
hai ye kya ki aaen idhar kabhi to lage ki pa-ba-rikab hain

kabhi chaha KHud ko sameTna to bikhar ke aur bhi rah gaya
hain jo kirchi kirchi paDe hue mere samne mere KHwab hain

ye na puchh kaise basar kiye shab-o-roz kitne pahar jiye
kise raat-din ki tamiz thi kise yaad itne hisab hain

unhen KHauf rasm-o-riwaj ka hamein waza apni aziz hai
wo riwayaton ki panah mein hum ana ke zer-e-itab hain

abhi zaKHm-e-nau ka shumar kya abhi rut hai dil ke singhaar ki
abhi aur phuTengi konplen abhi aur khilne gulab hain